Helping Hands Can Save The Lives...
ROAD SAFETY WEEK: 10th - 16th Jan, 2014
Our Pledge!...India is my country. All Indians are my brothers and sisters...!!!
Brothers and Sisters...??? How???
Just imagine...On a road or highway a person full of blood lying in the lap of death...what will be his expectations??? A helping hand???...Yes!!! Just a helping hand...Is it impossible??? Oh yes!!! Because he is not your relative..!!! Then how they can be your brothers and sisters...???
Confused???
Gaur se suno meri jubani...
Aaj ki subah bahot suhani
Firse taiyar mein ho gaya
Rojana ki yahi kahani
Mata pita ka aashirwad lena
Patni ka pyar se tiffin dena
Bachcho ka wo chillana
Papa shamko jaldi aana
Ghar se office ke bich duri
Pure tees kilometer hai
Suraj ese jal raha hai
Mano jese koi heater hai
Pure din ki bhaag daud
Office me itna sara kam
Bachcho ki sunkar aawaz
Utar jati hai puri thakan
Biwi puche kitna kamaya
Pita puche kitna bachaya
Baat karu mein kya mamta ki
Mata puche beta kuch khaya???
Din dhal gaya, raat dhal gayi
Fir aayi ek subah suhani
Firse taiyar me ho gaya
Rojana ki yahi kahani
Sar pe pehna helmet tha
Taapman tha kuch battis
Dhire bike se ja raha tha
Raftar meri thi chalis
Pata nahi kya hua achanak
Peiro tale zameen hat gayi
Na jane kisne takkar mari
Logon ka kafila dikh raha tha
Laawaris sadak pe pada me
Khoon me lath path chikh raha tha
Dekh kar esi halat me bhi
Nazar andaaz sab karte gaye
Na jane kitne Bharatwasi
Sadko pe ese marte gaye
Nadi ke tat ki tarah hi
Parivaar ka me kinara hoon
Chala gaya to kya hoga
Unka ek lauta sahara hoon
Kuch to daya karlo mujh par
Intzar koi kar raha hai
Unko to ye pata bhi nahi
Unka apna ese mar raha hai
Khoon se lath path dhoop me
Ese sadkon par leta hoon
Dard mera khatam ab ho gaya
Zindagi se ijajat leta hoon
Dekhlo kalyug ka chehra
Janta esa bhi karti hai
Bharat jese desh me bhi
Insaniyat ese marti hai
Sadkon par yun tadap tadap kar
Sadkon par yun tadap tadap kar
Insan zindagi kho sakta hai
Socho agar mein hoon aaj to
Kal ko tu bhi ho sakta hai...!!!
-Deepak Agrawal
(19th November 2014, 09:00 pm)
HELPING HANDS CAN SAVE THE LIVES...
From, the Pen of Pain
JAI HIND!
In India the calculated death in road accidents is 370/day i.e. 1, 35, 000/year...!!!
Out of total deaths in road accidents, almost 20% death results due to delay in first aid after accident or due to ignorance of the victim on a highway!
HELPING HANDS CAN SAVE THE LIVES...
From, the Pen of Pain
JAI HIND!
© Deepak Agrawal Poems 2014