This one is dedicated to all the Mothers, Sisters and Daughters of my motherland...
Janam jisne diya mujhe
Kehti hu unhe bhagwan
Yahan aakar dekha mene
Aise bhi hote hai haiwan
Dekhte ho tum ese mujhko
Jese tumhari koi behen nahi
Pal-pal, dar-dar ke jiti hu
Ab hota mujhse sehen nahi
Me bhi ek manushya hu
Mujhme bhi aatma basti hai
Nari roop me mehsoos hua
Khud aatma mujhpe hasti hai
Atyachar ab to band karo
Mujhe esa dard bardast nahi
Haiwan ho to ghar me raho
Mujhe esa mard bardast nahi
Desh ko mata kehte ho
Aurat ki koi fikar nahi
Janam tujhe aurat ne diya
Uski bhi Koi kadar nahi...???
(Bhul mat tu Dwapar-Treta...)
Draupadi-Sita gavah hai
Duryodhan-Ravan raakh hue
Jisne bhi humko lalkara
Wo sare jal ke khaakh hue
(Mat bhul tu Kalyug...)
Yug bhale ye kalyug hai
Mujhme bhi Draupadi-Sita hai
Tujhme agar Duryodhan hai
Mujhme bhi Bhim jita hai
Chir dungi tujhko pura
Agar tune ab aankh nikali
Bhul jaungi manushya hu
Ban jaungi Durga-Kali
Maryada me rehna sikh
Maryada purshottam Ram ban
Aurat se agar janam liya hai
Ek achcha insaan ban
Fir bhi agar tu nahi badlega
Avatar lenge Vishnu-Shankar
Aaj nahi to kal nishchit hai
Vinash tera hoga bhayankar.
-Deepak Agrawal
(11th September 2014, 08:08 pm)
From the Pen of Heart...
JAI HIND!
© Deepak Agrawal Poems 2014
Awesome bro!!
ReplyDeletewaiting for more from you....
Thank you Nikhil...
ReplyDeleteSure brother...
Stay tuned...
Heart came out on paper ! ! !
ReplyDeleteBest Poem I have ever read in my life...
ReplyDeleteTruly Awesome...
#RespectWomans